Kin Cheezon Se Roza Nahi Toota Hai?

Masla: Bhool kar khaaya Piya HumBistari ki, Roza na toota chaahe wo Roza Nafl ho ya farz.

Masla: Kisi Rozdaar ko bhool kar khaate ya peete dekhe to yaad dilaana wajib hai, yaad na dilaya to Gunehgaar hua.

Masla: Makkhi, ya Dhua, ya Gubaar halaq Mein jaane se Roza Nahi tootta.

Masla: Tel, ya surma lagaya to Roza na toota agarche tel ya surma halaq Mein Mehsoos hota ho.

Balke thook Mein surma ka rang bhi dikhayi deta ho jab bhi Nahi toota.

Masla: Ghusl Kiya aur paani ki thandak andar Mehsoos huyi, Roza Nahi toota.

Masla: Kulli ki aur paani bilkul phek diya sirf kuch tari munh Mein baaki reh gayi thi, thook ke saath Use nigal gaya, Roza Nahi toota.

Masla: Kaan Mein paani chala gaya, Roza Nahi toota.

Masla: Tinke se kaan khujaya aur Uss (tinke) Par kaan ka mayl lag gaya.nnPhir wahi Mayl laga hua tinka Kaan Mein daala agarche chand baar kiya ho, Roza Na toota.

Masla: Daanton Se Khoon Nikalkar Halaq Tak Pahuncha.

Magar Halaq Se Niche Na Utra To Roza Na Toota Aur Agar Halaq Se Niche Utra Magar Itna Kam Tha Ke Halaq Mein Mazah Mehsoos Na Hua Jab Bhi Roza na toota.

Masla: Thook, Balgum, Naak ki Reet wagairah nigalne se Roza Nahi toota.

Masla: Bhoole se Khana kha raha tha yaad aate hi fauran luqma phek diya ya Subha-sadiq se pehle kha raha tha aur subha hote hi Ugal diya, Roza na gaya aur Nigal gaya to dono Surton Mein Roza jata raha.

Masla: Ehtlam (Night Fall) hua, ya Geebat ki to Roza na gaya. Agarche Geebat bahut sakht kabeera hai.

Quran-e-Majeed Mein Geebat karne ki Nisbat Farmaya jaise Apne Murda Bhai ka Gosht khaana. (Surah-e-Hujraat Aayat 12)

Aur Hadees Mein Farmaya Geebat Zina se bhi Sakht Tar (Bahut Sakt) hai.

Agarche Geebat ki wajah se Roze ki Nooraniyyat jaati rehti hai.

Masla: Janabat (Napaaki) ki halat Mein Subha ki Agar saare din Naapak raha, Roza na gaya magar itni der tak Qasdan Ghusl na karna ke Namaz Qaza ho jaayein Gunah wa Haraam hai.

Hadees Mein hai ke Junub (Napaak) jis Ghar Mein hota hai usme Rehmat ke Farishte Nahin Aate.

Masla: Daanton Mein koi Cheez Chane se kam thi aur use Nigal gaya, Roza na toota.

Masla: Injection Gosht Mein lagwaya jaaye ya rag Mein, dono Surton Mein Roza na tootega.

Masla: Aankhon Mein dawa daalne se Roza Nahi tootta.

Masla: Khoon Nikalwane ya chadhwaane se Roza Nahin tootta isi tarah Glucose chadhane se bhi Nahi toota.

Masla: Qasdan Qai (Ulti) ki, agar munh bhar na ho, to Roza na tootega.

Masla: Be-ikhtiyar Qai (Ulti) ho gayi, to thodi ho, ya Zyaada, Roza na toota.

Masla: Khud-bakhud Ulti huyi, phir use Nigal gaya to agar munh bhar na ho, Roza na gaya.

Masla: Balgum ki Qai kitni hi ho use Roza Nahin tootega.

Masla: Rozdar ke jism par Zakhm hai aur usse peep baha to Roza na gaya.

Masla: Roze ki haalat Mein itr lagaya, ya usko soonga, ya phool soonga, ya baal katwaya, ya Naakhun kaata, ya sar ya badan ke kisi aur hisse par baam ya tel ki Maalish ki ya Powder wa Cream wagairah lagaaya to inn sab surton Mein Roza na gaya.

Masla: Roze ki Haalat Mein Aankh ka Operation karaya. Ya aur kisi azu (Parts) ka Operation karaya, Roza na gaya.

Masla: Aansu ya Paseena munh Mein chala gaya aur use nigal gaya to agar Qatra-2-Qatra hai Roza na toota.

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love