Masla: Ye Gumaan Tha Ke Subah Nahin Huyi Aur Khaaya ya Piya Ya HumBistari Ki.
Baad Ko Maloom Hua Ke Subah Ho Chuki Thi To Sirf Roze Ki Qaza Lazim Hai.
Yaani Iss Roze Ke Badle Mein 1 Roza Rakhna Hoga.
Masla: Bhoolkar Khaaya Piya Ya HumBistari Ki, Ya Ehtlaam (Night Fall) Hua Ya Ulti Hui Aur Inn Sab Surton Mein Ye Gumaan Kiya Ke Roza Toot Gaya.
Ab Jaan Bujhkar Kha Liya To Sirf Qaza Farz Hai.
Masla: Kaan Mein Tel Tapkaya, Ya Naak Se Dawa Chadhayi Ya Subah Ko Niyat Nahin Ki Thi Din Mein Zawal Se Pehle Niyat Ki Aur Niyat Ke Baad Khaa Liya Inn Sab Surton Mein Sirf Rpze ki Qaza Lazim Hai Roze Ka Kaffara Nahin.
Masla: Guroob Samajhkar Iftaar Kar Liya Halaki Din Baaki Tha Sirf Roze Ki Qaza Lazim Hai.
Masla: Naabaalig Bachche Ne Roza Rakhkar Todh Diya To Uspar Roze Ki Qaza Nahin.
Masla: Qai (Ulti) Aayi, Ya Bhoolkar Khaya Piya Aur Inn Sab Surton Mein Use Maloom Tha Ke Roza Na Gaya.
Phir Kha Liya To Kaffara Lazim Nahin (Qaza Zaroori Hai).
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi