Sehri aur Iftar ki hadees
Hadees: Hazrate Anas Radiyallahu taala anhu se Riwayat hai ke huzoor-e-aqdas sallallaahu Ta’ala alaihi wasallam ne farmaya
SEHRI KHAO KE SEHRI KHAANE MEIN BARKAT HAI.
(Bukhari, Muslim)
Hadees: Hazrat Abdullah ibne umar Radiyallahu ta’ala anhuma se Riwayat hai ke Huzoor-e-akram sallallaahu Ta’ala alaihi wasallam Ne farmaya
ALLAH AUR USKE FARISHTE SEHRI KHAANE WAALON PAR DUROOD BHEJTE HAIN.
(TIBRANI)
Hadees: Hazrat Abu saeed khudri Radiyallahu ta’ala anhu se Riwayat hai ke Huzoor sallallaahu Ta’ala alaihi wasallam ne farmaya
Sehri kul ki kul barkat hai oose na chhodhna agarche ek ghoont paani bhi peele.
Kyun ki sehri khaane waalon par allah aur uske farishte durood bhejte hain.
(Musnad Imam Ahmed bin hambal)
Hadees: Hazrate Sahal Bin Saad RadiYallahu Ta’ala anhu Se Riwayat Hai Ke Huzoor E Aqdas SallalLaahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Farmaya Hamesha Log Khair Ke Sath Rahenge Jab Tak Iftar Mein Jaldi Karenge.
(Bukhari, Muslim Sharif)
Hadees: Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu Ta’ala Anhu se Riwayat Hai Ke Huzoor sallalLaahu Ta’ala Alaihi wasallam Ne Farmaya Ke
Allah Ta’ala Ne Farmaya Mere Bandhon Mein Mujhe Zyada Pyaara Woh Hai Jo Iftar Mein Jaldi Karta Hai.
(Tirmizi)
Hadees: Hazrate Salman Bin Aamir Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ke Huzoor-E-Aqdas SallalLaahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
Jab Tumme Se Koi Roza Iftaar Kare To Khujoor Ya Chhohare Se Iftar Kare Ke Woh Barkat Hai.
Agar Woh Na Mile To Paani Se Ke Woh Paak Karne Wala Hai.
(Abu Dawood, Tirmizi Sharif)
Sehri aur Iftar ke masail
Masla: Sehri Khana Aur Usme Taakhir Karna Mustahab Hai. Magar Itni Taakhir Makrooh Hai ke Subah Ka Shak Ho Jayein.
Masla: Iftar Mein Jaldi Karna Mustahab Hai. Magar Iftar Uss Waqt Kare Ke Gurub Ka Gaalib Gumaan Ho.
Jab Tak Gumaan Gaalib Na Ho Iftar Na Karein.
Agarche Mu-azzin Ne Azaan Keh Di Hai Aur Badal Ke Dino Mein Iftar Mein Jaldi Na Karein.
Masla: Baaz Log Fajr Ki Azan Tak Sehri Khaate Rehte Hai Unka Roza Nahin Hota.
Masla: Subah Saadiq Tak SEHRI Kha Sakte Hai.
Magar Ehtiyatan 5 Minute Pehle Khaana Pina Mauqoof Kar Dena Behtar Hai.
Masla: Kisi Bhi Roze Ke liye Sehri Shart Nahin.
Ye Jo Awaam Mein Mashoor Hai ke Nafli Roze Ke Liye Sehri Zaroori Hai.
Iski Koi Asl Nahi Balke Bagair Sehri Bhi Ye Roze Ho Jayenge.
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi