Ramzan Ke Roza Kab Na Rakhne Ki Ijazat Hai

Masla: Safar Wa Hamal (Pregnant) Aur Bachcha Ko doodh Peelana Aur Marz Aur Budhapa Ye Sab Roza Na Rakhne Ke Liye Uzr Hai.

In Wujooh Se Koi Roza Na Rakhe To Gunehgaar Nahi.

Masla: Safar Se Muraad Safar-e-Sharai Hai.

Yaani Itni Door Jaane Ke Irada Se Nikle Ke Yaha Se Waha Tak 92 Kilometer Ya Usse Zyada Ho.

Masla: Din Mein Safar Kiya To Us Din Ka Roza Iftar Karne Ke Liye Aaj Ka Safar Uzr Nahin.

Albatta Agar Todhega To Kaffara Laazim Na Hoga Magar Gunehgaar Hoga.

Masla: Hamal wali (pregnant) Aurat Ko Apni Jaan Ka Khauf Ho To Ijaazat  Hai Ke Wo Uss Waqt Na Rakhein.

Masla: Mareez ko Marz Badhjaane, Ya Der Mein Achcha Hone, Ya Tandrust ko Bimaar Ho Jaane Ka Gumaane Gaalib Ho.

To Inn Sabko Ijazat Hai Ke Us Din Roza Na Rakhein.

Masla: Inn Surton Mein Gaalib Gumaan Ki Qaid Hai Mehez Weham (khyaal) Kaafi Nahi.

Masla: Kisi Kaafir Ya Faasiq Doctor Ke Kehne Par Roza Todhna Jaayez Nahi. Agar Todhega To Kaffara Laazim Aayega.

Masla: Jin Logo Ne Inn Uzro Ke Sabab Roza Todha Unpar Farz Hai ke Inn Rozo Ki Qaza Rakhein.

Magar Hukm Ye Hai Ke Uzr Jaane Ke baad Doosre Ramzan Aane Se PEHLE Qaza Rakhle.

Hadees Mein Farmaya Jispar Peechle Ramzan Ki Qaza Baaki Hai Aur Wo Na Rakhein Uske Iss Ramzan Ke Roze Qubool Na Honge Aur agar Roze Na Rakhein Aur Doosra Ramzan Aa Gaya.

To Ab Pehle Iss Ramzan Ke Roze Rakhle Qaza Na Rakhein. (Yaani Ramzaan Ke Baad Rakhein)

Masla: Khud Uss Musafir Ko Aur Uske Saathwale Ko Rozah Rakhne Mein Zarar (Nuqsaan) Na Pahunche To Roza Rakhna Safar Mein Behtar Hai Warna Na Rakhna Behtar.

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love