Itikaf ka bayan

Hadees Ummul Momineen Siddiqa Radiyallahu Taala Anha Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah SallalLaahu Ta’ala Alaihi Wasallam Razmzan Ke Aakhri Ashra (Aakhri 10 din) Mein Etikaf Farmaya Karte.

Bukhari, Muslim

Hadees Hazrate Abdullah Ibne Abbas Radiyallahu Ta’ala Anhuma Se Riwayat Hai Ke Huzoor Sallallaahu Ta’ala Alaihi Wasallam Itikaf Karne Wale Ke Baarein Mein farmaya

Woh Gunaahon Se Baaz Rehta Hai Aur Nekiyon Se Use iss Qadar Sawab Milta Hai.

Jaise Usne Tamaam Nekiyaan Ki.

Ibn e Maajah

Hadees Hazrate Husain Radiyalllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai ke Huzoor e Aqdas Sallallaahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya

Jisne Ramzan Mein 10 Dino Ka Itikaf Kar Liya To Aisa Hai.

Jaise 2 Hajj Aur 2 Umrah Kiye.

Baihaqi

Masla: Masjid Mein Allah Ke Liye Niyat Ke Saath Theherna Itikaf Hai Aur Uske Liye Musalman Aaqin (Aql Wala) Hona Aur Janabat (Napaaki) Aur Haiz Aur Nifas Se Paak Hona Shart Hai.

Baalig Hona Shart Nahin.

Itikaf Ki 3 Qismein Hai.

1) Wajib

2) Sunnate Mu-akkida

3) Mustahab

1) Itikaf-e-wajib

Ye Mannat Ka Itikaf Hai Jaise kisi Ne Mannat Maani Ke Fulah Kaam Ho Jayega.

To Mai 1 Din Ya 2 Din Itikaf Karuga, To Ye Itikaf Wajib Hai.

Iska Poora Karna Zaroori Hai.

Itikafe Wajib Ke Liye Roza Sharth Hai. Bagair Roza Ke Saheeh Nahin.

2) Itikaf-e-Sunnate Mu-akkida

Ye Ramzan Ke Poore Ashraye Aakhira

Yaani Aakhiri 10 Din Mein Kiya Jaayein.

Masla:

20svi Ramzan Ko Suraj Doobte Waqt Itikaf Ki Niyat Se Masjid Mein Maujood Ho Aur 30svi Ko Suraj Doobne Ke Baad Ya 29svi Ko Chaand Hone Ke Baad Nikle.

Masla:

Agar 20svi Tarikh Ko Baad Namaz-E-Magrib Itikaf Ki Niyat Ki To Sunnat-e-Mu-akkida Adaa Na Hogi.

Masla:

Ye Itikaf Sunnat-e-Mu-akkida Kifaya Hai ke Agar Sab Chhodh de to Sab Pakre Jayein Aur Agar 1 Ne Bhi Kar Liya To Sab Choot Jaayein.

Masla:

Iss Itikaf Mein Bhi Roza Shart Hai.

Magar Wahi Ramzan Ke Roze Kaafi Hai.

3) Itikaf-e-Mustahab

Itikaf e Wajib Aur Itikafe Sunnat-e -Mu-akkida Ke Alaawa Jo Itikaf Kiya Jaayein Wo Mustahab Hai.

Itikaf e Mustahab Ke Liye Roza Shart Nahin, Ye Thodi Der Ka Bhi ho Sakta Hai.

Masjid Mein Jab Jab Jaayein Iss Itikaf Ki Niyat Karle Chahe Thodi Hi Der Masjid Mein Rehkar Chala Aaye Jab Masjid Ke Bahar Aa Jayega Itikaf Khatam Ho Jayega Aur Uski Niyat Ye Hai.

Urdu Mein Iss Tarah Kahein

Maine- Allah Ke Waaste Itikaf-e-Mustahab Ki Niyat Ki.

Masla:

Mard ke Itikaf ke liye masjid zaroori hai.

Masla:

Aurat apne ghar ki Uss jagah Mein Itikaf karein jo jagah Usne namaz ke liye mukarrar kar rakhi ho.

Masla:

Agar aurat ne namaz ke liye koi jagah mukarrar Nahin Kar rakhi hai.

To ghar Mein Itikaf Nahin kar sakti.

Albatta agar iss waqt yaani jab ke itikaf ka irada kiya kisi jagah ko namaz ke liye khaas karliya, to Uss jagah itikaf kar sakti hai.

Masla:

Aurat ke liye ye mustahab hai ke ghar Mein namaz padhne ke liye koi jagah mukarrar karle aur Use paak aur saaf rakhein.

Masla:

Mutakif (Itikaf karne wala) ko masjid se bagair uzr nikalna haram hai.

Agar nikla to Itikaf toot jayega, chahe bhool kar hi nikla ho jab bhi.

Masla:

Aurat  agar apne Itikaf ki jagah se nikli to Itikaf jaata raha, chahe ghar hi Mein rahein.

Masla:

Mutakif (Itikaf karne wala) masjid hi Mein khaaye peeye soye in Umoor ke liye masjid se bahar hoga.

To Itikaf jaata rahega, magar khaane peene Mein yeh Ehtiyaat lazim hai ke masjid aaluda na ho.

Masla: Mutakif (Itikaf karne wala) ke siwa aur kisi ko masjid Mein khaane peene sone ki ijazat Nahin aur agar yeh kaam karna chahe to Itikaf ki Niyat karke, masjid Mein jayein aur namaz padhein, ya zikr-e-ilahi karein phir yeh kaam kar sakta hai.

Masla:

Mutakif (Itikaf karne wala) na chup rahe na baat karein.

Balki quran-e-majid ki tilawat, hadees ki Qeerat aur durood sharif ki kasrat karein, ambiya wa auliya wa saaleheen ke halat padhein.

Masla:

Itikaf jis wajah se bhi toote, Qasdan ya bila Qasd baharhaal qaza wajib hai.

Masla:

Sunnat-e-muakkida Itikaf agar todha to jis din todha faqat Uss ek (1) din ki qaza hai poore das (10) dino ki qaza wajib Nahin.

Masla:

Agar nafl Itikaf todh De to iski qaza Nahin.

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love