Masla: Taraweeh namaz mard wa aurat sabke liye Sunnat-E-Muakkida hai iska tark jayez nahi.
Masla: Jamhur ka mazhab ye hai ke Taraweeh Namaz bees (20) rakatein hain aur yehi ahadees se sabit.
Masla: Taraweeh ka waqt isha namaz ke farz padhne ke baad se subha sadiq nikalne tak hai.
Masla: Taraweeh Namaz Mein jamaat sunnat-e-kiffaya hai ke agar masjid ke sab log chhodh denge to gunehgar honge Aur agar kisi ek (1) ne ghar Mein tanha padhli to gunehgar Nahin.
Masla: Taraweeh Namaz masjid Mein ba jamat Padhna Afzal Hai.
Agar Ghar Mein Jamat Se Padhi, To Jamat ke tark ka gunah na hua, magar woh sawab na milenga jo masjid mein padhne ka tha.
Masla: Agar fout ho jaayein, to inki qaza nahin aur agar qaza tanha padhli to Taraweeh namaz Nahi balki nafl mustahab hai.
Masla: Taraweeh Namaz Mein ek (1) baar quran-e-majid khatam karna sunnat-e-muakkida hai.nnLogon ki susti ki wajah se khatam ko tark na kare.nnMasla: Agar muqtadiyon par girani ho, to attahiyat ke baad “ اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وآلِ par iktefa karein.
Masla: Agar ek (1) khatm karna ho, to behtar hai ke sattawis (27) shab mein khatm ho.
Phir agar Iss Raat Mein ya iske pehle khatm ho to Taraweeh ki namaz aakhir ramzan tak Barabar padhte rahe ke sunnat-e-muakkida hai.
Masla: Afzal ye hai ke ek imam ke peeche Taraweeh Namaz padhein aur do (2) ke peeche padhna chaahe, to behtar hai ke poore Taraweeh ki namaz par imam badle maslan aanth (8) ek (1) ke peeche aur baarah (12) doosre ke.
Masla: Ramzan sharif Mein witr jamat ke saath padhna afzal hai.
Khwah Usi imam ke peeche ji ke peeche isha wa Taraweeh namaz padhi hai ya doosre ke peeche.
Masla: Ye jayez hai ke ek (1) shakhs isha, wa witr padhaye doosra Taraweeh ki namaz.
Masla: Agar isha jamat se padhein aur Taraweeh ki namaz tanha, to witr ki jamat mein sharik ho sakta hai .
Masla: Agar isha tanha padhli, agarche Taraweeh namaz ba’jamat padhi to witr tanha padhein.
Masla : Muqtadi ko ye jaayez Nahin ke baitha rahe jab imam ruku karne ko ho, to khadha ho jaayein ke ye munafiqeen se mushabahat hai.
Allah Ta’ala irshad farmata hai
Munafiq jab namaz ko khade hote hain to thake jise.”
Sura-e-nisa aayat no 142
Masla: Taraweeh Namaz ramzan ki har shab Mein bees (20) rakat sunnat-e-muakkida hai.
Baaz log ye karte hai ke che (6) din ya dus (10) Din Mein poora quran sharif soon kar poore ramzan Taraweeh ki namaz Nahin padhte.
Woh gunehgar aur fasiq hai.
Woh ramzan-ul-mubaraq ki baqiya (Baaqi) raaton Mein bhi Taraweeh namaz padhein.
Luqma dene ke masail
Masla: Imam agar bhool jaayein to luqma dena jaayez hai aur agar imam ne luqma le liya to Uss par sajda-e-sahw Nahin.
Masla : Fauran luqma dena makrooh hai. Thoda tawaqquf (theherna) chahiye ke shayed imam khud nikaal le.
Masla: Imam ko makrooh hai ke muqtadiyon ko luqma dene par majboor karein.
Balki kisi doosri sureh ki taraf muntaqil ho jaayein, ya doosri aayat shuru karde bashart ye ke Uska Wasl mufside namaz naho.
Masla: Gari (imam) ko pareshan karne ki Niyat se luqma dena haraam hai.
Fatwa-e-razwiya
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi