Kale Rang Ka Shirt/Kurta Pant/Pajama Joota, Ya Topi Nahi Pehenni Chahiye Achchi Baat Nahi Hoti.
Hazrat Kya Ye Sahi Hai Aur Kya Koi Rang Aisa Hai Jis Ko Islam Ne Mana Kiya Pehenne Aur Kon Sa Rang Pehenna Achcha Hai
Jawab:
Jooto Ke Rang Ke Hawaale Se Koi Hadees Meri Nazar Se Nahi Guzri.
Haan Kuch Logo Ke Hawaale Se Ye Maloom Hota Hai Ke Chunke Kaaba Shareef Ke Ghilaaf Ka Rang Kaala (Black) Hai Is Liye Wo Kaale Joote Nahi Pahente.
Ye Koi Sharai Daleel Nahi Hai.
Lekin Un Ki Imani Kaifiyat Ka Ek Haal Hai Ke Wo Adaban Kaale Joote Nahi Pahente.
Albatta Peela Joota Pahenna Pasandeeda Hai.
Hadrat Maula Ali Karramallahu Taala Wajhahul Kareem Farmate Hain Ke Jo Peele Rang Ka Joota Pehnega Us Ke Afkaar (Tentions) Mein Kami Hogi (Yaani Gam Aur Fikrein Kam Hongi).
Aur Kaala Joota Pahenna Na Pasandeeda Hai Ke Is Se Huzn O Malal Mein Izaafa Hota Hai.
Jaleelul Qadr Sahaabi Hadrat Abdullah Bin Zubair Siyaah Joote Pahenne Se Mana Farmate The Ke Is Se Afkaar (Huzn O Malal Fikrein) Paida Hote Hain.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi