Kya Makkah Shareef Mein KAABA SHAREEF Ko Peet Nahi Karna Chahiye

Kya Sharan Ka Koi Masla Hai Isme? Madina Sharif Mein Peet Karne Ko Mana Kiya Gaya Hai Ye Suna Tha.

Kabatullah Sharif Ka Pehli Baar Suna Hu Aur SARKAAR Sallallahu Alaihi Wasallam Waaz O Naseehat Karte The To KAABA Shareef Ki Taraf Peet Hoti Thi Aur Kai Buzurgaane Deen Ke Baare Mein Ye Suna Gaya Hai Ke KAABE SHAREEF Ko Tek Lagakar Baitha Karte The.

Jawab:

Bila Zarurat Khana E Kaabah Ki Janib Peeth Karne Se Bachna Chahiye.

Aur Agar Be Adabi Samjhi Jaati Ho To Zarur Bache.

Ke Khana Kaabah Ki Tazeem Bhi Laazim Hai.

Isi Liye Us Janib Muh Ya Peeth Kar Ke Peshab Karna Wagairah Isi Tarah Bila Zarurat Pair Phailana Wagairah.

Khalifa E Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love