Log Kehte Hai Anghoti Ka Phatthar Naam Ke Hisab Se Hona Chahiye

Ya Date Of Birth Ke Hisab Se Hona Chahiye.

Maslan Koi Fala Din Paida Hiwa Aur Uska Naam Fala Fala Hai.

Toh Usko Neelam Achcha Rahega Kisi Ko Panna, Kisi Ko Moti Wagairah.

Aur Yeh Bhi Kehte Hai Ke Agar Aisa Na Karein Toh Nuksaan Hota Hai?

Ab Sawal Yeh Hai Ke

Kya Anghoti Ke Phattar Mein Nafa Ya Nuksaan Dene Ki Takat Hai?

Kya Is Mamle Mein Shariyat Ka Koi Hukm Hai?

Kya Yeh Sirf Toham Parasti Hai Ya Wakayi Burju Aur Sitaro Ka Insaan Ke Urooj Aur Zawal Mein Hissa Hota Hai.

Jawab:

1. Angoothi Mein Asr Allah Taala Ne Rakhi Hai Us Mein Ata E Ilahi Ke Bagair Koi Asr Nahin Jis Tarah Dawa Mein Marz Shifa Ka Asar Hai Ye Asar Allah Taala Ne Hi Us Mein Rakhi Hai.

To Jis Tarah Dawa Se Faaidah Haasil Karna Jaayez Hai.

Usi Tarah Paththar Se Bhi Faaidah Haasil Karna Jaayez Keh Paththar Mein Bhi Allah Taala Ne Hi Faaidah O Nuqsaan Ka Asar Rakha Hai.

To Is Aqeedah Ke Saath Paththar Ka Istemaal Bataur E Nag Karne Mein Kuchh Harj Nahin.

Haan Agar Muassir Haqeeqi Paththar Hi Ko Koi Samjhein.

Yani Allah Taala Ne Paththar Mein Asar Nahin Rakha.

Balkeh Paththar Mein Khud Bakhud Faaidah O Nuqsaan Ka Asar Hai To Ye Zaroor Kufr Hai.

Magar Kisi Musalman Ka Aisa Aqeedah Hargiz Nahin Ye Wahabi Devbandi Gair Muqallid Wagairah Ka Zabardasti Ilzaam Hai Keh Sunni Masalmaan Paththar Mein Nafa O Nuqsaan Be Ata E Ilahi Maante Hain.

Ata E Ilahi Ke Baad Bhi Paththar Mein Asar Manna Shirk Hai.

To Wahabi Devbandi Wagairah Dawa Mein Marz Se Shifa Ka Asar Maante Hain, To woh Bhi Kaafir Huye Aur Agar Ata E Ilaahi Maane Ke Ba?d Dawa Mein Marz Se Shifa Ka Asar Maanna Un Ke Nazdeek Kufr Nahin.

To Ata E Ilaahi Ke Saath Paththar Mein Nafa O Nuqasaan Manne Mein Kyu Kar Kufr Hoga.

Wahabi Devbandi Gair Muqallid Wagairah Ham Sunniyon Ke Aksar Amal Mein Shirk O Kufr Ki Qabaahat Maloom Hoti Hai Aur Wahi Amal Woh Khud Karein To Kufr Nahin.

Balkeh Apne Aap Ka Dunya Ka Bada Muwahhid Kahte Hain.

Allah Taala Unke Sharr Se Mahfooz Rakhein.

2. Agar Use Muassir Haqeeqi Na Maane.

Balkeh Ye Aqeedah Ho Ke Is Mein Jo Kuchh Bhi Asar Hai Woh Allah Taala Ke Diye Se Hai.

To Is Mein Kuchh Harj Nahin Aur Agar Muassir Haqeeqi Paththar Hi Ko Maan Le Maazallah To Ye Kufr Hai.

3. Aala Hazrat Azeemul Barakat Saiyyiduna Imam Ahmad Raza Fazil E Barailvi RadiaAllahu Taala Anhu Irshad Farmate Hain.

Kawaakib (Taaro) Mein Koi Saadat O Nuhoosat Nahin.

Agar Unko Khud Muassir E Haqeeqi Jaane Mushrik Hai Aur Un Se Madad Maange To Haraam Hai.

Warna Unki Riaayat Zaroor Khilaaf E Tawakkul Hai.

(Fatawa Razviyyah Jild 9 Safah 265 Nisf Aakhir)

Lihaza Burj O Sitaaro Ka Insaan Ke Urooj O Zawaal Mein Bizzaat Kuchh Dakhal Nahin.

Balkeh Agar Ye Iteqaadan Ho To Kufr Hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love