Jab Bachcha paida hota hai to uska Chatti chilla karte hai?

Kya shariyat mein Chatti Chilla karne ka hukum hai.

Jawab:

Bachche ki paidaish ke saatwen 7 din uska aqeeqa kiya jayein.

Uske sar ke baal chilwa diye jayein aur un baalon ke wazan ke barabar chandi, ya uski raqam (gar isteta’at hoto) sadqa karein.

Aur ladka ho to do (2) bakre aur agar ladki ho to Ek (1) bakri zabah karein aqeeqe ke taur pe.

Sab ko khilaaye, garibon ka khaas khyal rakhein.

Tamaam rishtedaron ko khila sakta hai.

Yeh jo log kahte hai ke aqeeqa ke janwar se bachche ke maa baap, daada daadi, naana naani nahi khaa sakte.

Jahilon ki kahawat hai.

Balke sabhi khaa sakte hai aur khila bhi sakte hai.

Aisa karna Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam hai.

Lekin log apni isteta’at ke mutabiq chatti chilla ke ame pe kabhi bhi yeh rasm ada karte hai.

Wo bhi jayez hai.

Jab chahein karein koi saatwen (7) din hi karna hai aisa zaroori nahi.

Khalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love