Kya Chote Bachcho Ko Masoom Keh Sakte Hai?

Jawab:

Masoom Ambiya E Kiraam Aur Farishto Ka Khassa Hai.

Masoom Ka Matlab Ye Hai Ke Un Se Gunaah Sarzad Hi Na Ho Sakta Ho.

Yaani Allah Tabarak Wa Taala Ne Unke Andar Gunaah Ki Hiss Paida Hi Nahi Farmaayi Ho.

Lehaza Gair E Ambiya O Malaika Ko Masoom Kehna Mana Hai.

Urf E Aam Mein Jo Log Bachcho Ko Masoom Kehte Hain To Wo Us Mana Mein Nahi Hota.

Yaani Is Se Gunah Sarzad Ho Hi Nahi Sakta.

Balke Shareef Ya Be Gunaah Ki Wajah Se Masoom Kaha Jaata Hai.

Is Etebar Se Agar Kisi Bachche Ko Masoom Kahein To Gunahgar Nahi Hoga.

Lekin Phir Bhi Hukm Ye Hai Ke Bachcho Ko Bhi Masoom Na Kaha Jaayein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love