Kya Video Games Khelna Jayez hai?

Jawab:

Video Games Ek Maghribi Bimaari Hai Jo Un Mumaalik Ke Baad Ab Hind O Pak Mein Riwaaj Pazeer Hai.

Pehle Us Ke Shaayeqeen Hamare Yahan Ek Do Rupe De Kar Apne Shauq Ki Takmeel Karte The Aur Ab Har Ghar Taqreeban Video Game Ghar Ban Chuka Hai.

Yahan Tak Ke Faarig Auqaat Mein Achche Bhale Deeni Zauq Rakhne Waale Baa Reesh Hazraat Bhi Is Waba Mein Jakde Nazar Aate Hain.

Ye Khel Chand Wajoohaat Se Sharan Jaayez Nahi.

1) Is Khel Mein Na To Koi Deeni Maslihat Muzmar Hai Aur Na Hi Jismani Faayeda Posheeda Aur Jo Khel In Dono Faayedo Se Khali Ho Wo Jaayez Nahi.

2) Ye Allah Ke Zikr Se Gaafil Karne Waala Hai.

3) Sab Se Shadeed Nuqsan Ye Hai Ke Is Khel Ki Aadat Parne Par Chhorna Dushwaar Ho Jaata Hai.

4) Aksar Game Behuda Tasweer Aur Photo Par Mashtamil Hote Hain. Jo Ke Sharan Naa Jaayez Hai.

5) Is Khel Se Dili Farhat Aur Lazzat Hasil Hoti Hai Aur Naa Jaayez Cheezo Se Lazzat Hasil Karna Bhi Haraam Hai.

In Mazkoora Wajoohaat Ki Bina Par Ye Khel, Baari Taala Ke Irshad Ka Misdaw Hai.

(وَمِنَ النَّاسِ مَنْ يَشْتَرِي لَهْوَ الْحَدِيثِ لِيُضِلَّ عَنْ سَبِيلِ اللَّهِ بِغَيْرِ عِلْمٍ وَيَتَّخِذَهَا هُزُوًا ۚ أُولَٰئِكَ لَهُمْ عَذَابٌ مُهِينٌ)

Surah Luqman : 6

Yaani Aur Kuch Log Khel Ki Baatein Khareedte Hain Ke Allah Ki Raah Se Bahkaa Den Be Samjhe Aur Use Hansi Bana Len, Un Ke Liye Zillat Ka Azaab Hai.

Hazrat Hasan Farmaate Hain Ke Ayat E Mazkoora Mein “لهو الحديث” Se Muraad Har Wo Cheez Hai Jo Allah Ki Ibadat Aur Us Ki Yaad Se Hataane Waali Ho.

Jaise Fuzool Lahw O Laib, Fuzool Qissah Kahani, Hansi Mazaq Ki Baatein, Waahiyaat Mashgale Aur Gana Bajaana Wagaira.

Waazeh Rahe Ke Mazkoora Aayat Ka Shan E Nuzool Agar Che Khas Hai.

Magar Umoom E Alfaz Ki Waja Se Hukm Aam Rahega.

Yaani Jo Khel Fuzool Aur Waqt O Paise Zaaye Karne Waala Hai.

Wahi Ayat E Mazkoora Ki Waeed Mein Dakhil Hai.

Chunke Video Games Mein Ye Sari Kharaabiyaan Maujood Hain.

Is Liye Ye Game Na Jaayez Hai.

Isme Waqt Aur Paise Lagana Naa Jaayez Hai Aur Isko Tark Kar Dena Wajib Hai.

Wa-Allahu Taala Alam

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love