Jumma Ki Do Rakat Farz Namaz Padh Kar Kai Log Jate Hai

Aur Wo Log Sunnat e Muakkada Nahi Padte Hai.

To Kya Aise Mein Unki Jumma Ki Namaz Ho Jayegi.

Ya Jab Tak Sunnat e Muakkada Nahi Padte Hai.

Tab Tak Jumma Ki Namaz Ada Nahi Hoti.

Jawab:

Farz Ke Baad Jo Sunnat Hai Use Farz Ke Sath Muttasil.

Yaani Mila Kar Parhni Chahiye, Yaani Farz O Sunnat Ke Darmiyan Zyada Waqfa Na Karein.

Warna Sawab Mein Kami Ho Jaati Hai.

Lehaza Agar Jo Log Sunnat Ghar Ja Ke Parhte Hai.

Unhe Chahiye Ke Wo Farz Ke Fauran Baad Sunnat Parh Liya Kare Aur Is Beech Mein Koi Munafi-E-Namaz Kaam Bhi Na Karein.

Baher Haal!! Jumuah Ki Namaz Ho Jaayegi.

Haan! Agar Sunnat Na Parhe Aur Iski Aadat Bana Le To Wo Gunahgar Fasiq Hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love