Iski Kuch Haqiqat Hai Ya Nahi?
Jawab:
Sayyedi Alahazrat RadiAllahu Taala Anhu Irshad Farmate Hain Ke
Kahino Aur Jotishio Se Hath Dikha Kar Taqdeer Ka Bhala Bura Daryaft Karna Agar Ba Taur e Eteqad (Us Par Aqeeda Rahte Hue) Ho.
Yaani Jo Ye Bataayein Haq Hai.
To Kufr e Khalis Hai.
Isi Ko Hadees Mein Farmaya
فقد كفر بما نزل على محمد ﷺ
Agar Bataur e Eteqad o Tayaqqun Na Ho.
Magar Mail o Ragbat (Dilchaspi) Ke Sath Ho. To Gunah e Kabeera Hai.
Isi Ko Hadees Mein Farmaya
لم يقبل الله له صلاة اربعين صباحا
Allah Ta’ala 40 Din Tak Uski Namaz Qubool Na Farmayega.
Aur Agar Bataur e Hazal o Istehza (Mazaq Ke Taur Par) Ho. To Abas o Makrooh o Himaqat Hai.
Haan Agar Baqasd e Ta’jeez (Hath Dekhne Walo Ko Aajiz Karne Ki Niyat Se) Ho To Harj Nahi (Yaani Uski Baatein Jhutlaane Ka Qasd Ho).
(Fatawa Razaviya Jild 9 Hissa 2 Safa 71)
Baher Haal! Aam Taur Par Log Shauq o Ragbat Ke Sath Hath Dikhate Hain Jo ke Haraam Hai.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi