Phir Hi Karobar Karte Hai. Jo UsKo Aisa hai Ke Agarbatti Nahi Jalaunga To Karobar Thik Nahi Hoga.
Ye uska Wahem Hai iska Aisa Fail Ke Kya Hukam Hai.
Kya Kisi Peer Sahib Ya Amil Ne Rozi Mein Barkat Ke Liye Agarbatti ko Dam Karke di. Ya kisi Dargah se Di.
To Ye Jalana Kaisa Khususan Rozi ke Liye.
Kisi Ghar Mein Jinnat Aseb Ka Saya Ho.
Ya Tang Karta Ho to is Liye Kisi Amil ne Agarbatti Di Ke Us Shay Ka Tang Karna Kam Ho Jayein.
Agar Aap ke Paas Mein Agarbatti ke Mutalik Jo Jo Rahenumai ho Shariytan Jalana Kaisa.
Kab Jalana Kab Jalana Mana Digar Malu Maat ho to Inyat Farmaye
Jawab:
Agarbatti Lobaan Wagaira Khushbu ke liye Jalaane mein Harj nahi.
Yu hi Aaseb o Baliyyat ke Dafa ke Liye Damm ki Hui AgarBatti ya Lobaan Jalaane mein Harj Nahi.
Lekin use Muassir e Haqeeqi Samajhna Kufr Hai.
Haan Ise Dafa e Aseb ke Liye sabab Maante hue Jalaane Mein harj Nahi.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi