Hazrat Kya Hum Faal (Falnama) Kholsakte Hain?

Faal (Falnama) Hota Kya Hai?
Aur Kya Uspar Jo bhi Jawab Aaye Uspar Amal Kar Sakte Hain?

Aur Agar Usmein Jawab Manaa Ke Talluk se Aaye, Toh kya Bachna Zaruri Hai.

Hazrat Baraye Karam Rehnumai Farmaye

Jawab:

Quran e Azeem se Faal Dekhne mein Aimma e Mazaahib e Arba’ah ke 4 Aqwaal Hain.

1) Baaz Hanaabila Mubaah Kehte Hain.

2) Shafaiyyah Makrooh e Tanzeehi Kehte Hain.

3) Maalikiyyah Haraam Kehte Hain.

4) Hamaare Ulama e Hanafiyyah Farmaate Hain NaJaayez o Mamnoo o Makrooh e Tahrimi Hai.

Quran e Azeem is Liye Na Utaara Gaya.

Hamara Qaul, Qaul e Malakiyyah Ke Qareeb Hai.

Balke Ind Al Tahqeeq Dono Ka Ek Haasil Hai.

Jab Ke Aaj Kal Ke Dhongi Baba Jo Faal Kholte Hain aur Us Par Yaqeen Karna na Jaayez o Haraam Hai Ke Faal Kholne Dekhne se Muttaliq Aala Hazrat Ka Irshad hai.

Agar Faal Kholne wala Waqai O Yaqeen Ke Saath Koi Cheez Batata, To Woh Musalman Hi Nahi Rehta.

Kyu Ke Hadees E Paak Ka Irshad Hai Ke Usne Us Cheez Ke Saath Kufr Kiya, Jo Muhammad Sallallahu alaihi wasallam Par Utari Gayi, aur Dekhnewala Yaqeen Nahi Rakhta, Phir bhi Ajkal Jo Faal Kholne Ka Rivaj Hai Gunaho Aur Buraiyon Se Khaali Nahi.

Aise Shakhs ki Imamat Najayez (Jo Faal Dekhta Kholta Ho)

Fatawa E Razaviya 10/119

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love