Milad ki Mehfil mein Naat Shareef padhi jaa rahi ho

Aur is beech kisi Alim ki entry ho. Ab Naat Shareef continue rakhni chahiye ya fir rok kar khade ho jayein aur unka Isteqbal karein?

Jawab:

Iqamat e Namaz ke waqt ye Hukm hai ke Is Dauran Imam Jis Saff Se Guzre Us saff waale Khade Ho jaayein, Ya Samne Se Aayein to Jis jis ki Nazar Pade Wo Khade Hote Rahein.

Lehaza Agar Naat Shareef Ho Rahi ho Aur Koi Aalim e Deen Us Darmiyaan Majlis Mein Tashreef Laayein, To Ehteraaman khade Hona Chahiye aur agar wahan Riwaaj yahi hai ke Naat Shareef Rok Kar Isteqbaal Kiya jata hai.

To munasib yahi hai ke aisa hi kiya jaayein, Isme Harj nahi.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love