Eid ke baad Jo 6 roze rakhte hai kya uski fir se eid hoti hai.

Agar hogi toh kya 5 roze ke baad eid bana sakte hai.

Jawab:nnShawwal ke 6 Rozo se Muta’lliq Ahadees e Kareema waarid hai ke Jisne Ramzan ke Roze Mukammal Kiye Aur Shawwal ke 6 Roze Rakhe to Goya wo Pure Saal Roza Raha.

Shawwal ke Rozo ke Baad Eid Manana Kisi Hadees se Saabit Nahi aur Naa hi Khushi Manane ki Mumaana’t hai.

Lehaza jo Khushiyan manaayein aur Allah Ka Shukr Ada karein unke liye koi Harj nahi.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love