Nabaalig Bachcho Ko Jo Nazrana Ya Eidi Wagaira Milti Hai.

Kya Wo Use Apne Upar Kharch Kar Sakta Hai Aur Uske Paise Ki Laayi Huwi Ashya, Kya Ghar Ke Doosre Log Bhi Kha Sakte Hain?
Kisi Ne Bataya Ke Wo Raqam Amanat Ki Taur Par Uske Walidain Jama Rakhe Aur Jab Wo Balig Ho To Usey Dein.
Is Silsile Mein Sharah Ka Mauqaf Kya Hai Hazrat Rehnumayi Farmaye

Jawab:

Nabaalig Bachche Ki Milkiyat Mein Jo Bhi Maal Ho Us Ka Istemal Sirf Bachcha Hi Apne Liye Kar Sakta Hai.

Us ke Paiso Ki Khareedi Hui Cheez Dosre Na Khaayein.

Agar Khaayein To Utni Raqam Ada Kar Dein.

Waalidain Un Paiso Ko Ba’Taur e Amanat Rakh Sakte Hain Ke Samajhdar Hone Par Lauta Dein.

Magar Uska Istemal Nahi Kar Sakte.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love