22 Rajab ke kunde ki niyaz ko mana karte hai

Kehte hai ki mat karo hargiz 22 Rajab ko Kunde ki niyaz nahi karna chahiye?

To hum 22 Rajab ki tarik ko niyaz karna chahte hai.

Kya hum kunde ki niyaz kar sakte hai?

Jawab:

22 rajab ko bhi ki jaayein to harj nahi.

Haan! fatiha mein Imam Jaafar e Sadiq ke sath Hazrat Ameer e Muawiya ke naam bhi isaal e sawab karein.

Taake shio ka radd bhi ho aur unse kisi tarah ki mushabahat bhi na baaqi rahein.

Haan! jo bid’at hain jaise ke mitti ka bartan ho aur jis jagah bane usi jagah khaaya jaayein.

Phir bartan ko phek diya jaayein wagaira.

Ye sab qaiden bid’at o najaayez hain.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love