Colour Se Namaz Aur Ghusl Nahi Hota Hai?

Baal Ko Colour Kar Diya Fir Pata Chala, To Kya Ab Us Colour Par Mehandi Laga Sakte Hai?

Jawab:

Agar Kaale Rang Ke Ilawah Kisi Dosre Rang Se Baal Colour Kiya, To Is Mein Harj Nahin.

Haan, Agar Colour Paint Ki Tarah Jirm Daar Hai, Keh Baalon Ke Oopar Chipak Gaya Hai.

Jaise Nakhun Pe Lagane Wala Colour, Keh woh Nakhun Ke Oopar Chipak Jata Hai.

To Is Soorat Mein Ghusl O Wazu Nahin Hoga Aur Agar Rang Badla Jaise Mehendi Lagaane Se Rang Badalta Hai.

To Is Soorat Mein Ghusl O Wazu Ho Jayega Aur Namaz Bhi Ho Jayegi Aur Kaale Rang Ka Colour Haraam Hai.

Khalifa E Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love