Dil Mein Koi Bhi Murad Rakh Ke 9 Logo Ko Ye Sms Karo.
Hazrat Bibi Fatima Ke Sadqe Murad Puri Hogi (Insha’Allah) Nazar Andaz Nahi Karna.
Murad Ke Liye Nahi Per Maa Fatima (RadiAllahu Ta’ala anhu) Ki Mohabbat Mein Hi Logo Ko Batao Ki Aaj Unke Nikah Ka Din Hai.
Kya aise message bhejna sahi hai.
Jawab:
Is Qism Ke Bidati Massages Na-Daan Dost Aksar Forward Karte Rehte Hain Aur Neeche Khas Taur Par Likha Hota Hai Ke 10 Logo Ko Aage Forward Karna Warna Ye Ho Jayega Aur Bahot Bura Hoga.
10 Saal Tak Bad-Qismati Dastak Degi Wagaira Wagaira.
Sawal Ye Hai Ke Kya Hamari Khwahishat Itni Barh Gayi Hain Ke Hum Aise Massage Forwarding Se Apni Khwahishat Pura Karna Chahte Hain?
Ya Hamare Andar Lalach Ka Paara Itna Upar Chala Gaya Hai Ke Sahi Aur Galat, Neki Aur Badi Ki Pehchan Karna Bhool Gaye Hain.
Ya Phir Humne Apne Iman Ka Daayera Khwahishat Ke Madd O Jazr Tak Mahdood Kar Diya?
Kis Raaste Par Hum Chal Pade?
Iske Zariye Hum Kya Tassur Dena Chahte Hain?
Kya Mahez Ek Massage Se Hi Hamari Qismat Aur Bad-Qismati Ka Faisla Ho Jana Hai? Musibatein Tal Jaani Hain?
To Phir Islam Mein Kalima, Namaz, Roza, Zakaat, Hajj Aur Dosre Amaal Kis Kaam Ke?
Ya Phir Aisa To Nahi Ke Hum Ba-Haisiyat Musalman Gunaaho Mein Itna Dhans Chuke Hain Ke Ab Chor Raasta Talash Karna Chahte Hain.
Ek Forward Ka Button Dabaayein Aur Jannat Pahoch Jaayein, Musibatein Tal Jaayein, Azmaaishein Khatam Ho Jaayein, Qismat Badal Jaayein.
Hamare Akhbaraat Mein Bangali Baba Ki Koi Kami Thi?
Jin Ke Muakkil Shaitan Se Pehle Ghar Ghar Pahoch Chuke Hote Hain, Ab Is Qism Ki Khurafaat Ko Hum Barh Charh Kar Phaila Rahe Hain.
Modern Technology Ka Istema Karein Islam Is Se Nahi Rokhta, Dost Ahbab Se Achchi Baatein Share Karne Se Bhi Islam Nahi Rokta.
Lekin Ye Mann Ghadat Khurafaat, Phailaane Waale, Islam Dost Nahi Ho Sakte.
Ye Massage Kahan Se Kaun Design Karta Hai Kisi Ko Koi Khabar Nahi, Bas Forward Karne Waale Hum Musalman Hi Hain.
Allah Taala Aise Khurafaat Se Bachne Ki Hum Musalmano Ko Taufeeq Ataa Farmaaye.
Khalifa E Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi