Huzoor (Sallallahu Alaihi Wassallam) Said That In The Month of Safar Maximum Calamities And Troubles Come Down.
For Hifaazat Please Pray YA BASITU YA HAFIZU 11 Times After All Namaz!
Pass This Info To All Your Family And Friends So That They Too Can Benefit From It!
Ya Basitu Ya Hafizu.
Kya Ye Msg Sahi Hai?
Jawab:
Safar Dosra Islami Maheena Hai.
Ahadees Mein Ise Manhoos, Ya Bimari Wala Maheena Kehne Ki Mumaanat Aayi Hai.
Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wassallam Irshad Farmate Hain Ke Chhoone Wali Bimari, Parinda (Ullu), Aur Safar Ki Nahusat Koi Cheez Nahi.
Allah Ne Har Jaan Paida Ki Hai Usi Ne Uski Zindagi Uske Masaaib Aur Uska Rizq Likha.
Hadrat Shah Abdul Haq Muhaddis E Dehlwi Alaihir Rahmah Farmate Hai.
Log Yahi Samajhte Hain Ke Is Maheene Mein Hawaadis, Aafatein Aur Balaayein Naazil Hoti Hain.
Ye Aqeeda Bilkul Galat Hai Aur Is Ki Koi Asl Nahi Hai.
(Ashiatul Lamaat)
Mazkoora Hadees Se Ye Sabit Hua Ke Safar Ke Maheene Ko Nahusat Wala Maheena Kehna Galat Hai.
Sarkar Sallallahu Alaihi Wassallam Ne Is Maah Ki Nahusat Ki Nafi Farmayi Hai.
Lehaza Awam E Ahl E Sunnat Ko Is Galat Aqeede Se Bachna Chahiye.
Aap Is Baat Ko Sochein Ke Jis Maah E Safar Ko Sahabi E Rasool Sallallahu Alaihi Wassallam Hadrat Abdur Rahman Bin Auf Se Nisbat Ho, Hadrat Data Ali Hijweri Se Nisbat Ho, Mujaddid E Alf E Saani Se Nisbat Ho, Sayyedi Aala hadrat Se Nisbat Ho.
Jis Maah Ko Itne Azeem Awliya O Sufiya E Kiraam Se Nisbat Ho, Wo Maheena Kaise Manhoos Ho Sakta Hai?
Ye Sab Baatein Mahez Tawahhumaat Par Mushtamil Hain Aur In Ki Haqeeqat Maa Siwa E Afsaanwi Rang O Roop Ke Kuch Nahi.
Na Kisi Maheene Mein Nahoosat Hai, Na Kisi Taarikh Mein Aur Na Hi Din Mein.
Maheena, Din, Raat Banane Wali Zaat Allah Kareem Ki Hai Aur Nahoosat To Hamaare Amaal Ki Bina Par Hoti Hai.
Tafseer E Roohul Maani Mein Hai Ke Agar Dino Mein Nahoosat Hoti.
To Qaum E Aad Par Musalsal 7 Din Azab E Ilaahi Naazil Hota Raha.
To Is Hisab Se Kya Hafte Ke Saato Din Manhoos Maan Liye Jaayein?
Agar Dino Ka Koi Asar Hai Bhi To Wo Hukm E Khuda Se Hai.
Lehaza Unke Liye Mustaqil Taur Par Taseer Ka Qaayel Shirk Ke Ghade Mein Dafn Kar Deta Hai.
Un Waaqiat Ko Jo Aksar Auqaat Insan Ke Bure Amaal Ka Kaffara Hote Hain.
Unhe Dino Ki Taseer Ya Unki Nahoosat Nahi Jaanna Chahiye.
Hame Is Baat Ka Khayal Rakhna Chahiye Ke Har Masla Ulama E Ahl E Sunnat Se Maloom Karein.
Taake Wo Aap Ko Quran O Hadees Ki Roshni Mein Jawab Dein.
Phir Us Jawab Ko Tasleem Karein Isi Mein Deen O Dunia Ki Bhalaai Hai.
Akhir Mein Rahi Baat Asmaa E Husna Ke Wazeefe Ki, To Ye Be Shak Baais E Khair O Barkat Hai.
Magar Nahusat Waale Maheene Ki Hadees Ko Muhaddiseen Ne Mauzu (Man Ghadat) Qarar Diya Hai.
Allah Taala Hum Sab Ko Apne Deen Ka Ilm Hasil Karne Aur Deen Ko Samajhne Ki Taufeeq Ataa Farmaaye.
Khalifa E Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi