Jawab: Talaq ki 3 kisme hai.
Talaq Hadan
Talaq Ahasan
Talaq Bidai
Jis Tohar (Mahine ke paaki ke din) mein wati (mubasharat) na ki ho, usme ek talaq e Rajai de Aur chore rahe yaha tak ki iddat gujar jaayein. Yah Talaq Ahasan Hai.
Aur Gair moutuh ko talaq di, Agarche haiz ke dino mein di ho, ya moutuh (jisse wati yaani mubasharat kar liya ho) ko 3 tohar mein 3 Talaq e di bashart ki na un toharo mein wati (mubasharat) ki ho, na haiz mein ya 3 mahine mein 3 Talaq e Us Aurat ko di jise haiz nahi aata.
Maslan nabaalig, ya hamal waali hai, ya Ayaas (wah umar jab se haiz, yaani maahwaaari aana band ho jaati hai) ki umar ko pahunch gayi to yah sab surate Talaq Hadan ki Hai.
Hamal waali, ya Seene Ayaas waali ko wati (mubasharat) ke baad Talaq dene mein karaahat nahi.
Yoon hi agar usko umar 9 saal se kam ki ho, to karaahat nahi aur 9 baras ya jyaada ki umar hai.
Magar abhi haiz nahi aaya hai, to afzal yah hai ki wati (mubasharat) wa talaq mein ek mahine ka faasla ho.
Talaq Bidai yah ki Ek Tohar mein 2 ya 3 Talaq dede, 3 dafa mein, ya 2 dafa, ya 1 hi Dafa.
Khwaah 3 baar lafz kahe, ya yoon kah diya ki Tujhe 3 Talaq e, ya 1 hi talaq di.
Magar us Tohar mein wati (mubasharat) kar chuka hai.
Ya Moutuh ko haiz mein talaq di, ya tohar hi mein talaq di, magar usse pahle jo haiz aaya tha usme wati (mubasharat) ki ya us haiz mein talaq di thi, ya yah sab baatein nahi, magar Tohar mein talaq e baain di.
Durre Mukhtar
Bahar-e-shariyat 4th Hissa safa 09
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi