Nashe Mein Talaq De Di To Kya Hukm Hai?

Jawab:

Talaq Ke Liye Sharth Yah Hai Ki Shohar Aaqeel Baalig Ho.

Naa Baalig Ya Maznoon, Na Khud Talaq De Sakta Hai Na Uski Taraf Se Us Ka Wali.

Magar Nasha Waale Ne Talaq Di To Waqai Ho Jayegi Ki Yah Aqeel Ke Hukm Hai.

Aur Nasha Khwaa Sharab Peene Se Ho Ya Bing Wagairah Kisi Aur Cheez Se.

Afyoon Ki Peyk Mein Talaq De Di Jab Bhi Waqai Ho Jayegi.

Talaq Mein Aurat Ki Jaanib Se Koyi Sharth Nahi Naabalig Ho Ya Majnuna.

Baharhaal Talaq Waqai Hogi.

(Durre Mukhtaar, Aalamgeeri)

Kisine Majboor Karke Use Nasha Pila Diya Ya Haalate Ijtiraar Mein Piya (Maslan Pyaas Se Mar Raha Tha Aur Paani Na Tha) Aur Nasha Mein Talaq De Di To Sahih Yah Hai Ki Waaqai Na Hogi.

(Raddul Muhtaar)

Bahar E ShariAt 8wa Hissa Safa 10

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love