Istikhara ka waqt
Raat mein Isha namaz ke baad 2 rakat padhein. Ya fir sone se pehle padhein.
Istikhara ki Niyat
Niyat ki maine do rakat namaz nafl istikhara ki, wasteh Allah Taala ke rukh mera Kaabe sharif ki taraf.
Istikhara Ka Tarika
Niyat ke baad Allahuakbar kehkar hath bandh lena hai fir Sana padhna hai.
Uske baad Alhumdu Sharif (Surah Fatiha) padhein uske baad surah kaafiroon padhne ke baad ruku aur sajda karein.
Fir dusri rakat mein fir shuru mein Alhumdu sharif (Surah Fatiha) padhein.
Uske baad surah Ikhlas padhna behtar hai. (Agar aap chahe to koi dusri surah bhi padh sakhte hai).
Fir ruku aur sajda karein.
Fir qada mein Attahiyat ke durood e ibrahim padhein, fir dua e masoorah padhein aur iske baad istikhara ki dua padhein aur salaam pher dein.
Istikhara ki dua ko aap namaz ke baad bhi padh sakte hai.
Agar aap istikhara ki dua ko namaz ke baad padh rahe ho to.
Dua e Istikhara ke pehle aur akhir mein teen teen martaba durood shareef zarur padhein aur phir jiska mashwara Allah Taala se talab karna chahte hai wo talab karein.
Istikhara ki dua
Bismilla Hirrarhmaan Nirrahim
Allahumma Inni Astakhiruka Bi-ilmika, Wa Astaqdiruka bi-qudratika, Wa As’aluka Min Fazlika Al-‘azim
Fa-innaka Taqdiru Wala Aqdiru, Wa ta-lamu Wala a’lamu, Wa anta ‘allamu-l-ghuyub.
Allahumma, In kunta Ta-lam Anna Haza-L Amra Khairun Li Fi Dini Wa-Ma’ashi Wa-aqibati ‘Amri Faqdirhu Lee Wa Yassirhu Summa Baarik Li Fihi,
Wa in kunta Ta-lamu Anna Hu shar-run Fi Dini Wa-Ma’ashi Wa-aqibati Amri Fasrifhu Anni Was-rifni Anhu.
Waqdir Li Al-khaira Haisu kaa -na Summa Arrizzni Bihi.
Note-1 Jab Aap Haza-L Amra Par Panhunche To Us Kaam Ka Jikr Karein Jis Kaam Ke Liye Isikhara Kiya Gaya Hai.
Note-2 Istikhara Ki Dua Mein Wa-Ma’ashi Ki Jagah Wa Dunya Bhi Padh Sakte Hai