Yani Bandish Ki Gayi Hai. To Is Ki Kya Asliyat Maani Jaye ?nnMaine Suna Tha Ke Bandish Ki Koi Sharai Haisiyat Nahi.nnTo Fir Kya Kiya Jaye.nnYeh Khud Mera Hi Mamla Hai ki Mene Nayi Dukan Chalu Ki Hai Par Customer Nahi Aate, To Hamari Behan Ne kisi se Puchha to Unho Ne Bataya ki Meri Rozi Bandh Di Gayi Hai.nnIs Ko Main to Nahi Manta Lekin is Paresani Me Hamari Islaah Farma Kar Hamari Madad Farmayega.nnJawab:nnSehr, Jadu Wagaira Haq Hai, Mumkin Hai Aise Fasid Uloom Ke Zariye Kisi ki Bandish Kar Di Jaaye.nnMagar Yaqeen Ke Sath Koi Nahi Keh Sakta Ke us Par Jadu Wagaira Kiya Gaya Hai.nnBalke ye Ek Takhmeena o Hisab Hota Hai.nnNamaz ki Pabandi Karein Aur Fajr Ki Sunnat aur Farz Ke Darmiyaan 100 Martaba RozanannSub’HanAllahi wa BiHamdih’ Sub’HanAllahil Azeem Wa BiHamdihi Astaghfirullah Parhein.nnInsha’Allah Zarur Rizq Ke Darwaze Khul Jayenge.nn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????