Mere Dost Ki Biwi Ke Paas Karib 20 Se 25 Tola Gold Hai. Jo Usko Shadi Me Mila Tha.

Baad Me Wo Gold Uske Sasur Ne Apne Paas Karib 11 Saal Se Rakh Liya Hai.

Ab Uske Sasur Wo Gold Per Zakat Nikalte Hai Ya Nahi Ye Uske Husband Ko Pakka Malum Nahi Hai.

To Aisi Condition Me Zakat Ke Liye Kya Hukm Hoga.

Jawab:

Agar Un Zewaraat Ki Malik Aurat Ya Shauhar Hain Aur Baap Ne Jabran Unse Le Liya Hai To Ye Gasab Hai.

Baap Gunahgar Hoga Aur Agar Uske Milne Ki Ummed Nahi Hai To Aurat, Ya Mard Par Zakat Bhi Wajib Nahi.

Khalifa E Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love