To Kya Zaruri Hai ki Dene Wala Apna Nam Likhaye.
Agar Ek Muslim Likhva diya to Zakat to Ada ho Jayegi.
Mai ye Samjta Hu ki Jo Paise Ki Niyat ki Wo Ada ho Jayegi Aap Kuch Bataye.
Jawab:
Zakat ke Liye Naam ki Zarurat Nahin.
Agar Zakat Mustahiq e Zakat Ko di to Zakat Ada ho Jayegi.
Shart Hai Maal e Zakat ka Mustahiq Ki Milkiyat Mein Pahochna.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi