Jin par zakat dena farz hai kya un par qurbani bhi farz hai

Aur agar zakat na nikalta ho sahib-e-nisab hone ke bawajod aur us bande ke naam par qurbani bhi hoti hai.

To kya qurbani qubool hogi?

Jawab:

Zakat har sahib-e-nisab par Saal guzarne ke baad farz hai.

Jab ke qurbani wajib hone ke liye itna kaafi hai ke uske paas hajat e asliya ke ilawa saman ho jiski qeemat 612 gram chandi ki qeemat ko pahoch jaayein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love