Zakat Dene Ki Niyat Se Kuch Raqam Nikali

Fir Pata Chala Jisko Dena Hai Wo Shakhs Kahi Bahar Gaya Hai Aur Kuch Dino Baad Aayega.

Ab Ye Raqam Firse Apne Maal Mein Mila Sakte Hai, Ya Seperate Rakhna Hoga?

Jawab:

Jab Tak Ke Zakat Ka Maal Mustahiq Ki Milk Mein Na Chala Jaaye Zakat Ada Na Hogi.

Agar Khud Ka Maal Hai Aur Abhi Usi Ki Milkiyat Mein Hai, To Usse Istemaal Kar Sakta Hai.

Magar Zakat Jald Az Jald Ada Ki Jaayein Ke Takheer Gunaah Hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love