Jawab:
Jin Logo Ko Diya Jaata Hai Unmein Se Kuch Yeh Hai.
1) Fakeer: Yaani Woh Shakhs Jiske Paas Kuch Maal Hai. Lekin Nisab Bhar Nahi.
2) Miskeen: Yaani Woh Shakhs Ki Jiske Paas Khane Ke Liye Galla Aur Badan Chhupani Ke Liye Kapda Bhi Na Ho.
3) Qarzdaar: Yaani Woh Shakhs Ki Jiske Zimma Qarz Ho Aur Uske Paas Qarz Se Fazil Koi Maal Ba-Qadre Nisab Na Ho.
4) Musafir: Jiske Paas Safar Ki Halat Mein Maal Na Raha, Usey Zaroorat Bhar Ki Zakat Dena Jaayez Hai.