Zakat ki rakam nikal kar Heela e Sharai karana jaayez hai?

Kya Jumuah ke deen Nafil Roza rakh sakte hai?

Jawab:

Deeni umoor maslan Masjid, ya Madrasa ke Tameer wagaira ke liye Zakat ki Raqam Heela e Sharai karna jaayez hai.

Warna Nahi.

Jumuah Ke Din Khaas taur se Jumuah ke din ke liye Roza rakhna mana hai.

Haan! agar koi Mubarak din ho, to harj nahi.

Isi tarah jumuah ke din qaza roza rakhne mein bhi harj nahi.

Nafl roza single rakha ja sakta hai.

Haan! Ashura ka roza Single na rakhein ke yahudio ki mukhalifat ho.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love