Fasiq ko Zakat Fitra De Sakte hai
Jaise wo shakhs Namaz Na Padhata ho Roza Na Rakhta Ho Dhadhi Na Rakhta Ho Aur Wahabi Deobandi Se Mel Jol Bhi Rakhta Ho.
Jawab:
Agar wo Badmazhab hai to hargiz use sadqaat na diye jaayein.
Balke Zakaat ka zyada mustahiq Sunni sahih ul aqeeda gair fasiq shakhs hai.
Waazeh rahe k fasiq agar mustahiq hai to use zakaat wagaira sadaqaat dene se ada to ho jaayeinge magar behtar ye hai ke tarjeeh gair fasiq ko di Jaayein.
Aur agar kisi fasiq ko de bhi to khayal rahe ke wo Haraam kaam mein use na istemaal karein.
Agar is baat ka khadsha ho to paise ki jagah zarurat ke samaan de diye jaayein.
Wa-Allahu Ta’ala A’lam
○●●●●●●●●●●●●○
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi
○●●●●●●●●●●●●○
- Advertisement -