Maa ya Baap mein se koi ek sayyed ya Maa hi sayyed ho to Aulad sayyed hi hogi ya gair sayyed aur
Kya jiski maa sayyed ho usko sadaqa ya zakat fitra de sakte hain
Jawab:
Nasab baap se Hota hai.
Lehaza agar baap sayyed ho, to aulaad sayyed warna nahi.
Agar koi aurat sayyeda hain shauhar sayyed nahi, to unki aulaad sayyed nahi.
Aur agar wo Aulaad baalig mustahiq ho, to zakaat unhe di ja sakti hai.
○●●●●●●●●●●●●○
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
○●●●●●●●●●●●●○
- Advertisement -