Jis Ghar Mein Joint Family Rahti Ho Aur Bete Ki Shadi Mein Jo Dahej Mein Sona Chandi Mila Ho

Uski Zakat Ki Adayegi Kisko Karni Hogi.

Jabki Ghar Ka Malik Qarz Mein Mubatala Ho Aur Bete Ki Ahliya Ko Shadi Mein Mila Sona Chandi Par Zakat Wajeeb Ho.

To Ab Uski Zakat Kisko Ada Karni Hogi.

Jawab:

Agar Woh Sona Chhandi Bete Ki Ahliyyah Ke Hain Aur Nisaab Bhar Hai Aur Uspe Saal Bhi Guzar Gaya Hai.

To Zakat Bete Ki Ahliyyah Par Farz Hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love