Shuhada-E-Karbala Ke Rauzo Ki Tasveere Aur Naqshe Gharo’n Aur Dukano Me Awizan (Latka) Kar Rakh Sakte Hai Ya Nahi?

Jawab:

A’ala Hazrat RadiAllahu Taala Anhu Farmate Hai:

Shaikh Abdul Mustafa Azmi RadiAllahu Taala Anhu Farmate Hai.

Hazrat E Imam E Hussain RadiAllahu Taala Anhu Aur Shuhada-E-Karbala RadiAllahu Taala Anhu Ke Muqaddas Rauzo Ki Tasveer, Naqsha Bana Kar Rakhna Aur Unko Dekhna Ye To Jaayez Hai.

Kyunki Ye Ek Gair Jaandaar Chiz Ki Tasveer, Ya Naqsha Hai.

Lehaza Jis Tarah Ka’aba, Baitul Muqaddas, Nalain Sharifain Waghaira Ki Tasveere Aur Unke Naqshe Bana Kar Rakhne Ko Shariyat Ne Jayez Thahraya Hai.

Usi Tarah Shuhada-E-Karbala Ke Rauzo’n Ki Tasveere Aur Naqshe Bhi Yaqinan Jayez Hi Rahenge.nnLeqin Har Saal Sekdo’n, Hazaro Rupey Ke Kharch Se Rauza, Karbala Ka Naqsha Bana Kar Usko Pani Mein Dubo Dena.

Ya Zameen Mein Dafan Kar Dena, Ya Jangalo’n Mein Phenk Dena.

Ye Yaqinan Haram o Najayez Hai.

Kyunki Ye Apne Maal Ko Barbaad Karna Hai Aur Musalman Janta Hai Ke Maal Ko Zaaya Aur Barbaad Karna Haraam o Na Jaayez Hai.

Hakimmul Ummat Taajdaare Gujarat Hazrat Mufti Ahmad Yaar khan Naimi Irshad Farmate Hai:

Agar Imam E Husain RadiAllahu Taala Anhu Ke Mazaar Shareef Ka Saheeh Naqsha Tayyar Kiya Jaye Jis Ki Ziyarat Ki Jaye Usey Dafan Na Kiya Jayein.

Balke Mahfooz Rakha Jaye Bila Shubah Jayez Hai.

Share your love