10 muharram ashura ke din ko kya hua tha

10 MUHARRAM ASHURA KE DIN KI ITNI FAZILAT KYU HAI?

10 MUHARRAM ASHURA KE DIN ARSH, KURSI, AASMAN, ZAMEEN, SOORAJ, CHAND, SITARE AUR JANNAT PAIDA KIYE GAYE.

ASHURA KE DIN AADAM Alaihissalam  KO PAIDA KIYA GAYA, ISI DIN UNHE JANNAT MEIN DAKHIL KIYA GAYA AUR ISI DIN APKI TOUBA BHI QABOOL KI GAYI.

ASHURA KE DIN HAZRATE IBRAHIM Alaihissalam PAIDA HUWE ISI DIN UNHE AAG SE NIJAT MILI.

ASHURA KE DIN HAZRATE IDREES Alaihissalam KO MAQAME BULAND KI TARAF UTHAYA GAYA.

ASHURA KE DIN AYYUB Alaihissalam KI TAKLIF RAF ‘A KI GAI.

ASHURA KE DIN YUSUF Alaihissalam GEHRE KUNWE SE NIKALE GAYE.

ASHURA KE DIN YUNUS Alaihissalam MACHHLI KE PAIT SE NIKALE GAYE.

ASHURA KE DIN YAQOOB Alaihissalam KI BINAAI KA ZUAF DOOR HUWA.

ASHURA KE DIN SULEMAAN Alaihissalam KO MULKE AZIM ATA KIYA GAYA.

ASHURA KE DIN NOOH Alaihissalam KI KASHTI KUHE JUDI PAR THAHRI.

ASHURA KE DIN MOOSA Alaihissalam OR AAP KI UMMAT KO NAJAT MILI OR FIRON APNI QOUM SAMET GARAQ HUA.

ASHURA KE DIN ISA Alaihissalam PAIDA KIYE GAYE OR ISI DIN UNHE AASMANO KI TARAF UTHAYA GAYA.

AASMAN SE ZAMEEN PAR ISI DIN SABSE PEHLI BARISH NAZIL HUYI.

AUR ISI DIN KA ROZA UMMATO MEIN MASHOOR THA YAHA TAK KE YE BHI KAHA GAYA HAI KI IS DIN KA ROZA MAHE RAMZAN SE PEHLE FARZ THA FIR MANSOOKH KAR DIYA GAYA AUR HUZUR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE HIJRAT SE PEHLE IS DIN KA ROZA RAKHA.

(MUQASHAFATUL QULUB)

Posted By: Mehfile Gulame Mustafa

Share your love