Mai apni Beti ka Aqeeqah karna chahta hu.

Mai ek bakri ko ziba karke taskeem karta hu eid ke doosre din, ye kaisa hai or bakri kaisi honi chahiye.

Agar Dhoodh dene wali bakri ho to uske Dhoodh ka kya karna hoga.

Kisiko de de ya fir mitti mein daba de.

Hazrat se gujarish hain is per roshni daale.

Jawab:

Qurbani ke janwar ke liye jo baatein zaruri hain wo aqeeqe ke liye bhi zaruri hain.

Doodh sadqa kar dein to behtar hai.

Ek bakri ek larki ke liye durust hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love