Aajkal Jab Medical Science aur Govt. Bhi yeh Keh Rahi Ho

Ki Tambaku Ka Sevan Cancer aur us Jaisi Kai Namurad Bimariyo Ko Dawat Dene Ka Kam Karta Hain.

Toh Yeh to Wajeh Ho Gaya Ki Tambaku ka Istemal Badan ko Taklif Denewala Hain.

Jo Allah Ki Ata ki Gayi Azeem Neamat aur Amanat hain is Surat e Haal Main Kya Yeh Apni Jano Ko Jaanbuz ke Takleef Dena Na Hoga?

Jo Islam Main Jaha Tak Mera Manna Hain Jayez na Hoga aur Dusra Iski Tadap aur Na Milne ki Surat Main Iske Aadi Shaksh ki Mental Condition Change Ho Jati Hai.

Uska Chidiyapan Badh Jana, Ya Gussa ho, Jana Ya fir is Baad Aadat ko Pura Karne ke liye Udhari Badhana, Ya Chori Tak Kar Lena.

Yun Apne Halal aur Jayez Rizq Main se Gharwalo ki Jaroorat Puri Karne ke Badle Fizul Kharch Aur Shehat Bigadne Wali Chiz ka istemal Karna Kya Sahi Hoga?

Khudara rahenumai farmaiye.

Jawab:

Tambaku ki Thodi Miqdar Har ek ke liye Muzir Nahi.

Balke Baaz Auqaat wo Mufeed bhi Hota hai, aur Yaqeeni Taur Par Koi ye Nahi Kehta Ke is se Ek Aam Insan Mar Jaayega, Ya Mohlik Bimari mein Mubtala Hoga.

Jis Tarah Zaher Wagaira Ke Ye Yaqeen Hota Hai Ke iske Istemal se Insan ki Maut Ho Sakti Hai.

Halaanke Kabhi wo Nahi Marta. Phir Bhi ye Haraam Hai.

Ise Achchi Tarah Samjhein.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love