Qurbani kis par wajib hai?

ISLAM Yani Gair Muslim Pe Qurbani Wajib Nahi.

IQAMAT Yani Muqeem Hona Musafir Par Wajib Nahi.

TAWANGARI Yani Maalik Nisaab Hona Yahan Maaldaari Se Murad Wahi Hai Jis Se Sadqa E Fitr Wajib Hota Hai.

Woh Murad Nahi Jis Se Zakat Wajib Hoti Hai.

Nisab Ki Tafseel Nisab Ke Bayan Mein Mulahaza Farmayein

HURRIYYAT Yani Aazad Hona.

Jo Aazad Na Ho Us Pe Qurbani Wajib Nahin Ke Ghulam Ke Paas Maal Hi Nahi.

Lihaza Ibadat E Maaliya Us Pe Wajib Nahi.

Bahar E Shariyat

FAAIDAH

Mard Hona Is Ke Liye Shart Nahi Auraton Par Wajib Hoti Hai. Jis Tarah Mardon Par Wajib Hoti Hai.

Is Ke Liye Buloog Shart Hai, Ya Nahi Is Mein Ikhtelaf Hai Aur Naabalig par wajib hai to Aaya Khud Uske Maal Se Qurbani Ki Jaayegi, Ya Uska Baap Apne Maal Se Qurbani Karega.

Zaahirurri wajah Ye Hai Ke Na Khud Naabalig Par Wajib Hai Na Uski Taraf Se Uske Baap Par Wajib Hai Aur Isi Par Fatwa Hai.

Bahar E Shariyat

MASLAH:- Musafir Par Agarche Wajib Nahi. Magar Nafl Ke Taur Par Kare. To Kar Sakta Hai Sawab Payega.

Bahar E Shariyat

MASLAH:- Hajj Karne Wale Jo Musafir Ho Un Par Qurbani Wajib Nahi Aur Muqeem Ho To Wajib Hai.

Jaise Makkah Ke Rahne Wale Hajj Karein.

To Chunke Ye Musafir Nahi, Ya Jo Log Makkah Mu’azzamah Itne Din Pehle Pahunche Ke Mina Rawana Hone Mein 15 Ya Is Se Ziyadah Din Baaqi Hon.

Yeh Log Muqeem Hain Un Par Wajib Hogi.

MASLAH:- Sharait Ka Poore Waqt Mein Paaya Jaana Zaroori Nahi.

Balke Qurbani Ke Liye Jo Waqt Muqarrar Hai Uske Kisi Hissa Mein Sharaait Ka Paaya Jaana Wujoob Ke Liye Kaafi Hai.

Bahar E Shariyat

MASLAH:- Ek Shakhs Ibteda E Waqt e Qurbani Mein Kafir Tha, Phir Musalman Ho Gaya Aur Abhi Qurbani Ka Waqt Baaqi Hai Us Par Qurbani Wajib Hai.

Jab Ke Dosre Sharaait Bhi Paaye Jaayein.

Bahar E Shariyat

MASLAH:- Awwal Waqt Mein Musafir Tha Aur Asna E Waqt Mein Muqeem Ho Gaya Us Par Bhi Qurbani Wajib Hogi.

Bahar E Shariyat

MASLAH:- Faqeer Tha Aur Waqt ke Andar Maaldaar Ho Gaya Us Par Bhi Qurbani Wajib Hai.

Bahar E Shariyat

BOOK NAME – FAZAIL O MASAIL E EID UL AZHA O QURBANI.

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love