Qurbani se pehle baal aur nakhun katna kaisa?
HADEES: Ummul Momineen Umm E Salama RadiAllahu Taala Anhu se riwayat hai ke Huzur Sallallahu Alahi Wassallam ne farmaya jis ne zilhijjah ka chaand dekh liya aur uska iradah Qurbaani ka hai to jab tak Qurbani na karle baal o naakhuno se na le.
Yani na tarashwaye.
(Muslim / Tirmizi / Nasai)
MASLAH: Jis ko Qurbani karne ka iradah ho uske liye mustahab hai ke zilhijjah ka chaand dekhne ke ba’ad naakhun baal wagairah na kaate.
MASLAH: Agar kisi shakhs ne (31) din se kisi uzr ke sabab, khwah bila uzr naakhun na tarashe hon, khat banwaya naho ke chaand zilhijjah ho gaya.
To agarche Qurbani ka iradah rakhta ho is mustahab par amal nahin kar sakta ke ab daswen tak rakhega to naakhun o khat banwaye huye ektaaliswan (41) din ho jaayega aur 40 din se ziyadah na banwana gunaah hai.
Fe’le mustahab ke liye gunaah nahin kar sakta.
(Fatawa Razviyyah Jild 8 Safah 358)
MASLAH: Jise dusre ya teesre din Qurbani karni hai uske liye behtar hai ke woh dusre ya teesre din Qurbani ke baad naakhun o baal wagairah kaate.
MASLAH: Eid ki namaz ke ba’d aur Qurbani se pahle naakhun baal wagairah katwa liya to is mein bhi harj nahin.
BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi