Qurbani karne ka waqt kitna hai?

HADEES: Hazrat E Barraa RadiAllahu Taala Anhu se riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya sab se pahle jo kaam aaj ham karenge woh ye hai ke namaz padhein, phir iske baad Qurbani karenge, jisne aisa kiya usne hamari sunnat (tareeqa) ko paa liya aur jisne pahle zabah kiya, woh gosht hai jo usne pahle se apne ghar walon ke liye tayyaar kar liya Qurbani se use kuchh ta’alluq nahin.

Abu Burdah RadiAllahu Taala khade huye aur ye pahle hi zabah kar chuke the (is khayal se ke pados ke log gareeb the unhone chaha ke unko gosht mil jaayein) aur arz ki ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam mere paas bakri ka 6 maah ka ek bachcha hai.

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Faramaya tum use zabah karlo aur tumhare siwa kisi ke liye 6 maaha bachcha kifayat nahi karega.

Bukhari

MASLA:– Qurbani ka waqt daswen zihijjah ke tulu e subh e saadiq se baarahwe ke gurub e aaftaab tak hai, yani 3 din 2 raatein.

Bahar e shariyat

MASLA:- (10) Daswen ke baad ki dono raatein ayyaam e nahar mein daakhil hain unme Qurbani ho sakti hai.

Magar raat mein Qurbani karna makrooh hai.

Bahar e shariyat

MASLA:- Pahla din yani (10) daswen tareekh sab mein afzal hai. Phir giyarahwe aur pichhla din yani (12) baarahwe sab se kam darjah hai.

Bahar e shariyat

MASLA:– Ayyam e nahar mein Qurbani karna itni qeemat ke sadqa karne se afzal hai.

Bahar e shariyat

MASLA:– Wujoob ki soorat mein bagair Qurbani kiye uhda baraa nahin ho sakta.

Bahar e shariyat

MASLA:– Shahar mein Qurbani ki jaaye to sha’rt ye hai ke namaz ho chuke. Lihaza namaz e eid se pahle shahar mein Qurbani nahin ho sakhti.

Bahar e shariyat

MASLA:– Dihaat mein chunkeh namaz e eid nahin hai yahan tulu e fajr ke baad se hi Qurbani ho sakhti hai.

Bahar e shariyat

MASLA:– Dihaat mein behtar ye hai ke baad e tulu e aftab Qurbani ki jaayein.

Bahar e shariyat

MASLA:- Shahar mein behtar ye hai ke eid ka khutbah ho jaane ke baad Qurbani ki jaayein.

Bahar e shariyat

MASLA:- Namaz ho chuki hai aur abhi khutbah nahin hua hai is soorat mein Qurbani ho jaayegi. Magar aisa karna makrooh hai.

Bahar e shariyat

MASLA:- Ye jo shahar aur dihaat ka farq batataya gaya hai ye maqam e Qurbani ke lihaz se hai.

Qurbani karne wale ke ehtebaar se nahin yani dihaat mein Qurbani hoto woh waqt hai. Agarche Qurbani karne wala shahar mein hai.

Bahar e shariyat

MASLA:– Shahar mein hoto namaz ke ba’ad ho. Agarche jiski taraf se Qurbani hai woh dihaat mein ho.

Bahar e shariyat

MASLA:- Shahar mein aadmi agar ye chahta hai ke subah hi namaz se pahle Qurbani ho jayein to Jaanwar dihaat mein bhej de.

Bahar e shariyat

MASLA:– Agar shahar mein muta’addad jagah eid ki namaz hoti ho to pahli jagah namaz ho jaane ke ba’ad Qurbani jaayez hai.

Bahar e shariyat

MASLA:- Imam abhi namaz hi mein hai aur kisi ne Jaanwar zabah kar liya. Agarcheh imam qa’da mein ho aur baqadr e tashahhud baith chuka ho magar abhi salam na phera ho to Qurbani nahin hui.

Bahar e shariyat

MASLA:– Agar imam ne ek taraf salam pher liya hai dosri taraf baaqi tha ke usne zabah kar diya Qurbani ho gayi.

Bahar e shariyat

MASLA:– Ayyam e nahar guzar gaye aur jis par Qurbani wajib thi usne nahin ki hai to Qurbani faut ho gayi ab nahi ho sakti.

Agar usne Qurbani ka Jaanwar mu’tayyan kar rakha hai maslan mu’tayyan Jaanwar ke Qurbani ki mannat maan li hai woh shakhs gani ho, ya faqeer bahar soorat usi mu’tayyan Jaanwar ko zindah sadqa karein aur agar zabah kar daala to saara gosht sadqa karein.

Usme se kuch na khayein aur agar kuch kha liya hai to jitna khaya hai uski qeemat sadqa karein aur agar zabah kiye huye Jaanwar ki qeemat zindah Jaanwar se kuchh kam hai.

Jitni kami hai use bhi sadqa karein.

Bahar e shariyat

MASLA:– Faqeer ne Qurbani ki niyat se Jaanwar khareeda aur Qurbani ke din nikal gaye chunke us par bhi usi mu’tayyan Jaanwar ki Qurbani wajib hai.

Lihaza us Jaanwar ko zindah sadqa karde.

Bahar e shariyat

MASLA:- Ye zaroori nahin ke (10) daswen hi ko Qurbani kar daale Uske liye gunjaish hai keh poore waqt mein jab chahe karein.

Bahar e shariyat

BOOK NAME – FAZAIL O MASAIL E EID UL AZHA O QURBANI

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love