MASLAH:– Qurbani mein niyabat ho sakti hai yani khud karna zaroorai nahin balkeh dosre ko iajzat dede usne kardi ye ho sakta hai.
(Bahar e shari’at)
MASLAH:– Baalig ladko ya biwi ki taraf se Qurbani karna chahta hai to unse ijazat haasil kare bagair unke kahe agr kardi to unke taraf se wajib ada na hua.
(Bahar e shari’at)
MASLAH:- Nabaalig ki taraf se agarche wajib nahi magar kardena bihtar hai.
(Bahar e shari’at)
Is soorat mein Nabaalig bachcho se ijazat ki zaroorat nahi.
MASLAH:– Apni taraf se aur apne bachcho ki taraf se gaaye ki Qurbani ki agar woh nabaalig hai to sab Qurbaniyan jaayez hain aur baalig hai aur sab ladkon ne kah diya hai to sab ki taraf se sahih hai aur agar unhone kaha nahi ya ba’az ne nahin kaha to kisi ki Qurbani nahi hui.
(Bahar e shari’at)
MASLAH:– Kisi shakhs ne wasiyyat ki ke uski taraf se Qurbani kar di jaaye aur ye nahi bataya ke gaaye ya bakri kis Jaanwar ki Qurbani ki jaaye aur na qeemat bayan ki ke istne ka Jaanwar khareed kar Qurbani ki jaaye ye wasiyyat jaayez hai aur bakri Qurbaan kar dene se wasiyyat poori ho gayi.
(Bahar e shari’at)
MASLAH:– Agar kisi ko wakeel kiya ke meri taraf se Qurbani kar dena aur gaaye ya bakri ka ta’ayyun na kiya qeemat bhi bayan nahin ki to ye taukeel sahih nahi.
(Bahar e shari’at)
BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi