Qurbani ke janwar mein kitne hisse hote?
HADEES:– Hazrat Abdullah Bin Mas’ood RadiaAllahu Taala Anhu se riwayat hai ke Huzoor Sallallahu Alahi Wassallam ne farmaya Qurbani mein gaiy 7 ki taraf se aur uoont 7 ki taraf se hai.
(Tibrani)
MASLAH: Jab Qurbani ke sharaait e mazkoorah paaye jaayein to bakri ka zabah karna ya oont, ya gaaye ka saatwa hissa wajib hai.
(Bahar e shariat)
MASLAH: Saatwen hissa se kam nahi ho sakta balke oont ya gaaye ke shuraka mein agar kisi shareek ka saatwen hissa se kam hai to kisi ki Qurbani nahin hui.
Yani jiska saatwa hissa ya usse ziyadah ho uski bhi Qurbani nahi hui.
(Bahar e shariat)
MASLAH: Gaaye ya oont mein saatwen hissa se ziyaadah ki Qurbani ho sakti hai maslan gaaye ko 6 ya 5 ya 4 shakhso ki taraf se Qurbani karein ho sakta hai aur ye zaroori nahin ke sab shuraka ke hisse barabar ho.
Balkeh kam o besh bhi ho sakte hain, haan ye zaroor hai ke jiska hissa kam hai woh saatwen hissa se kam naho.
(Bahar e shariat)
MASLAH: 7 Shakhso ne 5 gaayo ki Qurbani ki ye jaayez hai ke har gaaye mein har shakhs ka saatwa hissa hua.
(Bahar e shariat)
MASLAH: Gaaye ke shuraka me se ek kaafir hai ya un men se ek shakhs ka maqsood Qurbani nahi.
Balkeh gosht haasil karna hai to kisi ki Qurbani nahi hui.
(Bahar e shariat)
MASLAH: Qurbaani ke sab shuraka ki niyyat taqarrub ho iska ye matlab hai ke kisi ka irada gosht na ho aur ye zaroori nahi ke woh taqarrub ek hi qism ka ho maslan sab Qurbaani hi karna chaahte hai.
balke agar mukhtalif qism ke taqarrub hon woh taqarrub sab par wajib ho ya kisi par wajib ho aur kisi par wajib na ho har soorat mein Qurbaani jaayez hai.
(Bahar e shariat)
MASLAH: Qurbani aur aqeeqah ki bhi shirkat ho sakti hai ke aqeeqah bhi taqarrub ki ek soorat hai.
(Bahar e shariat)
MASLAH: Shuraka mein koi devbandi wahabi aur gair muqallid wagairah hai to kisi ki Qurbani na hui.
BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi