JIN MARD AURAT KE ZIMME QURBANI HAI

WO CHAND RAAT SE PEHLE UNKE LIYE KONSA AMAL HAI JO KARNA HAI, BAAL NAAKHUN KA AUR JIN KE ZIMME NAHI UNKE LIYE KYA HUKM

Jawab:

BAAL O NAAKHUN KATWANE KA HUKM

HADEES

Ummul Mumineen Umm E Salama RadiAllahu Taala Anhu Se Riwayat Hai Keh Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jis Ne Zilhijjah Ka Chaand Dekh Liya Aur Uska Iraadah Qurbani Ka Hai To Jab Tak Qurbani Na Kar Le Baal O Naakhuno Se Na Le Yani Na Tarashwaye
(Muslim / Tirmizi / Nasai)

MASLAH: Jis Ko Qurbani Karne Ka Iradah Ho Us Ke Liye Mustahab Hai Keh Zilhijjah Ka Chaand Dekhne Ke Baad Naakhun Baal Wagairah Na Kaatein

MASLAH: Agar Kisi Shakhs Ne (31) Din Se Kisi Uzr Ke Sabab, Khwah Bila Uzr Naakhun Na Tarashe Hon, Khat Banwaya Na Ho Keh Chaand Zilhijjah Ho Gaya To Agarcheh Qurbani Ka Iradah Rakhta Ho Is Mustahab Par Amal Nahin Kar Sakta Keh Ab Daswein Tak Rakhega To Naakhun O Khat Banwaye Huye Ektaaliswan (41) Din Ho Jaayega Aur 40 Din Se Ziyadah Na Banwana Gunaah Hain. Fel E Mustahab Ke Liye Gunaah Nahin Kar Sakta.

(Fatawa Razviyyah Jild 8 Safah 358)

MASLAH: Jise Dosre Ya Teesre Din Qurbani Karni Hai Us Ke Liye Bihtar Hai Keh Oh Dosre Ya Teesre Din Qurbani Ke Baad Naakhun O Baal Wagairah Kaatein.

MASLAH: Eid Ki Namaz Ke Baad Aur Qurbani Se Pahle Naakhun Baal Wagairah Katwa Liya To Is Men Bhi Harj Nahin

JO SAAHIB E ISTETAAT NA HO USKI QURBANI

HADEES

Hazrat E Abdullah Bin Uamar RadiAllahu Taala Anhu Se Riwayat Hai Keh Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Mujhe Yaum E Azha Ka Hukm Diya Gaya Us Din Ko Khuda Ne Is Ummat Ke Liye Eid Banaya Ek Shakhs Ne Arz Ki Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ye Bataaiyein Agar Mere Paas Meenha Ke Siwa Koi Jaanwar Na Ho To Kiya Uski Qurbani Kar Dun ( Menha Us Janwar Ko Kahte Hain Jo Dosre Ne Use Is Liye Diya Hai Keh Kuchh Dino Uske Doodh Wagairah Se Faaidah Uthaye Aur Phir Maalik Ko Wapas Kar De ) Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Nahin

Haan Tum Apne Baal Aur Naakhun Tarashwaao Aur Moye Zer E Naaf Mundo Is Men Tumhari Qurbani Khuda Ke Nazdeek Poori Ho Jaayegi Yani Jisko Qurbani Ki Taufeeq Na Ho To Use In Chizo Ke Karne Se Qurbani Ka Sawab Haasil Ho Jaayega.

(Abu Daaud, Nasai)

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love