Jise takbeer e tashreeq kahte hain woh ye hain.
Allahu akbar, La ilaha illa hu Wallahu akbar, Allahu akbar wa lillahil hamd
Bahar e Shariyat
MASLAH: 9wen zilhijjah ki fajar se 13wen ki asar tak har namaz e panjgaana ke baad jo jamat e mustahabbah ke saath ada ki gayi 1 baar takbeer E tashreeq baland awaaz se kahna wajib hai aur 3 baar afzal.
MASLAH: Takbeer e tashreeq salam pherne ke baad fauran wajib hai.
Yani jab tak koi aisa fel na kiya ho ke us namaz par bina na kar sake.
Agar masjid se baahar ho gaya, ya qasdan (jaan boojh kar) wazu tod diya.
Ya kalam kiya agarche sahwan to takbeer e tashreeq saaqit ho gayi aur bila qasd wazu toot gaya to keh le.
Bahar e shariyat
MASLAH: Takbeer E tashreeq us par wajib hai jo shahar mein muqeem ho, ye jisne uski iqteda ki.
Bahar e shariyat
MASLAH: Nafl o sunnat o witr ke Baad takbeer E tashreeq wajib nahi juma ke baad wajib hai aur namaz e eid ke baad bhi keh le.
Bahar e shariyat
MASLAH: Masbooq (jiski rakat chhoot gayi ho) par takbeer E tashreeq wajib hai.
Magar jab khud salam phere us waqt kahein aur imam ke saath keh li to namaz faasid na hui aur namaz khatm karne ke baad takbeer E tashreeq ka i’aadah (repeat) bhi nahi.
Bahar e shariyat
MASLAH: Aur dino mein namaz qaza ho gayi thi ayyam e tashreeq mein uski qaza padhi, to takbeer E tashreeq wajib nahin.
Yunhi in dino ki namazein aur dino mein padhi jab bhi takbeer E tashreeq wajib nahi.
Bahar e shariyat
MASLAH: Munfarid (tanha bagair jamat se namaz padhne wala) par takbeer E tashreeq wajib nahi.
Magar munfarid bhi keh le ke saahibain ke nazdeek us par bhi takbeer E tashreeq wajib hai.
Bahar e shariyat
MASLAH: Imam ne takbeer E tashreeq na kaha jab bhi muqtadiyo par takbeer E tashreeq wajib hai.
Bahar e shariyat
MASLAH: Aurato par takbeer E tashreeq wajib nahi.
Bahar e shariyat
Isi tarah musafir par bhi takbeer E tashreeq wajib nahi.
BOOK NAME – FAZAIL O MASAIL E EID UL AZHA O QURBANI
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi