Hazrat Shariyat Ke Hissab Se Kya Hukka Parlour Kholna Jayez

Hazrat Shariyat Ke Hissab Se Kya Hukka Parlour Kholna Jayez Hai Kya Iski Kamaayi Halaal Hai?

1) Kya Isme Grahakon Ke Liye Free WIFI Bhi Rakha Jasakta Hai?

2) WiFi Ka Grahak Kya Istemaal Karta Hai. Us Se Parlour Ke Maalik Par Kuch Hukm Lagega?

3) Aur Agar Us Hukka Parlour Mein Grahakon Ke Liye TV Bhi Lagaya Gaya Ho. To Kya Us Hukka Parlour Ki Kamaayi Halaal Hogi?

4) Aur Agar Grahakon Me Ladke Ladkiyan Bhi Aate Ho. To Kya Us Hukka Parlour Ki Kamaayi Halaal Hogi ?

Jawab; Is Zamaane Mein Khususan Shehro Mein Gallib Yahi Hai Ke Hukka Lahw O Laib Ke Taur Par Istemal Kiya Jata Hai.

Haan Baaz Honge Jo Islah E Sehat Ke Liye Istemal Karte Honge.

Is Liye Hukka Palour Kholna Na Chahiye. Haan Chunke Wo Ek Jaayez Cheez Ka Iwaz Hota Hai. Is Liye Us Ki Kamaai Haraam Nahi.

1) Agar Maloom Ho Ke Wo Shakhs Wifi Ke Zariye Fisq Ka Hi Kaam Karega To Use Na Diya Jaaye. Bahar Haal Malik Se Muaakhza Nahi Hona Chahiye.

2) Tv Aur Is Tarah Ke Tamam Alaat E Lahw O Laib Rakhna Na Jaayez Aur Jitne Log Us Ko Istemal Karenge Hotel Wala Bhi Gunahgar Hoga. Aur Tv Dekhaane Ka Bhi Iwaz Le To Khas Tv Dikhane Ki Kamaai Na Jaayez Hogi.nnHaan Paise Sirf Hukka Ke Badle Mein Le To Wo Kamaai Halal Hai.

Magar Tv Dikhaane Ka Gunah Zarur Hoga.

3) Ladke Ladkio Mein Mahaarim Bhi Ho Sakte Hain. Isi Tarah Miyaan Biwi Bhi Ho Sakte Hain.

Jab Ke Ye Aam Hai To Is Me Harj Nahi, Haan Agar Khaas Aubaash Aur Nalaayeq Qism Ke Log Jo Masti O Fisq O Fujoor Karne Hi Ke Liye Aate Hon Unhe Roka Jaaye.

Waazeh Rahe Ke Jitne Kaam Haraam Hain Unke Badle Mein Paise Le To Wo Kamaai Haraam Hogi Aur Agar Jaayez Cheez Ke Badle Raqam Le To Wo Kamaai Halal.

Aur Rahe Haraam Afaal Aur Najaayez Kaam To Us Ka Gunah Hoga.

Khalifa E Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar QadriKhadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love