Hazrat Jaisa Ke Aaj Kal Aam Hai Ke Log Heavy Deposit Par Room Dete Aur Lete Hai.

Toh Is Tarah Dena Aur Lena Kaisa?

Agar Kar Sakte Hain Toh Uski Kya Suratein Hain Jisme Is Tarah Room Liya Ya Diya Jayein.

2) Isi Mein Maintenance Ka Kharch Agar Rehne Wala Deta Hai Toh Kya Ye Theek Hai?

Jawab:

Heavy Deposit Par Makan Jo Liya Jata Hai.

Begair Uska Kiraya Diye Hue Us Makan Ka Istemaal Karna Na Jaayez Hai.

Ke Wo Deposit Qarz Hai Jo Pura Wapis Hoga.

Ab Makan Ka Istemaal Begair Kiraya Ke Sood Hoga.

Lehaza Us Makan Ka Kuch Kiraaya Bhi Muqarrar Kare Phir Uska Istemaal Kar Sakte Hain.

2) Maintenence Ka Kharch Society Ko Diya Jata Hai Na Ke Makan Malik Ko.

Lehaza Ise Makan Ka Kiraya Nahi Kaha Jaayega.

Haan Makan Malik Maintenece Ada Karein Aur Kiraya Daar Kiraya Ke Taur Par Malik Makan Ko Raqam De To Durust Hai.

Khalifa E Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love