Kisi Baat Ko Zahir Na Karne Ke Liye Koi Aur Baat Kehde

Toh Kya Woh Bhi Jhoot Mein Shomar Hoga.

Paiso ki Nihayat Zaroorat Ho Aur Paise Kahi se bhi Mil Nahi Rahe Ho.

Toh Aise Halat Mein Interest Se Le Sakte Hai?Rehnumayi Farmaye Hazrat

Jawab: Agar baat ko chupaane ke liye dosri jhoot baat kahi, to wo bhi Jhoot hi hai.

Agar Waaqai Zarurat e Shadeeda hai, Ke Begair intrest pe Loan liye paise lena Mumkin nahi, Ya Mumkin to hai.

Magar Usme Harj e Shadeed ho, jaise Qanooni Taur Par, ya income tax wagaira aur Loan pe lene me agar Musalman Ka hi Faayeda Zyada ho to Ulama ne Iski Ijazat di hai.

Jabke Loan dene wala Kafir ho.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love